Friday, November 14, 2014

Best Collection of Shayari Dialogues selected from Bollywood Movies

This is post dedicated to all those my readers who takes interst in love shayari and sad shayaries . so, as i told in title these all shayies are taken from different different movies of bollywood , i hope you wil like my collection.

.com/blogger_img_proxy/


Dil ko zubaan, aankhon ko sapne mil gaye ... aashiqui mein, zindagi ko mainne mil gaye
Kiski majaal joh chede dilair ko ... gardish mein gher lete hai geedar bhi sher ko
Kashmir na koi le sakta hai aur Kashmir na koi de sakta hai ... Kashmir mein bus teen din aur do raat ka honeymoon package ho sakta hai
Tumhare ishq se bani hoon main ... pehle zinda thi ... ab jee rahi hoon main
Humse door jaoge kaise, dil se hum mein bhulaoge kaise ... hum woh khushboo hai joh saason mein bastein hai, khud ki saason ko rok paoge kaise
Ab ke saawan mein yeh shararat hamare saath hui ... hamara ghar chodke saare shehar mein barsaat hui
Hum mein toh apno ne loota, gairon mein kahan dum tha ... meri kishti thi doobi wahan, jahan pani kam tha
Aasmaanon se kaho agar hamari udaan dekhni ho, toh apna kad aur uncha karle ... husn waalon se kaho ki agar ishq dekhna ho, toh humse aake mile
Tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaye ... tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaye
Woh mili mujhse Heer ki tarah ... taste mein thi woh kheer ki tarah ... aur dil ke paar hui woh teer ki tarah
Mana ki tu ek insaan hai sari duniya ke liye ... magar sari duniya hai kisi ek insaan ke liye
Tumsa koi aur is zameen pe hua, toh rab se shikayat hogi ... tumhe chahane waala koi aur hua, toh qayamat se pehle qayamat hogi
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte ... jaam doosron se cheenkar hum piya nahi karte ... unko mohabbat hai toh aakar izhaar karen ... peecha hum bhi kisika kiya nahi karte
Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai ... ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai
Wife ne poocha husband se, ke sach kaho kitno ke saath soye ho? ... husband bola, soya toh bus tumhare saath, baki sehkadon ke saath jaga poori raat
Mohabbat rang lati hai jab dil se dil milte hai ... mushkil toh yeh hai, ki dil badi mushkil se milte hai
Hoon main parwana magar koi shamma toh ho raat toh ho ... jaan dene ko hoon haazir, koi baat toh ho
Aag suraj mein hoti hai, jalna zameen ko padta hai ... mohabbat nigahein karti hai, tadapna dil ko padta hai
Aaj itni bhi maisir nahi maikhane mein ... jitni hum chhod diya karte the paimane mein
Tirchi nigaahon se na dekh aashiq-e-dilgir ko ... kaise teerandaz ho tum, zara seedha toh karlo teer ko
Besharam badtameez khudgarz hota hai ... par pyar toh aaise hi hota hai
Pyar mein sauda karne ki aadat in aamiron ki ... jaan le leti hai hum jaise gareebon ki
Apne hisse ki zindagi toh hum jee chuke Chunni babu, ab toh bus dhadkano ka lihaaz karte hai ... kya kahen yeh duniya waalo ko joh, aakhri saans par bhi aitraaz karte hai
Bhool karke agar humse koi bhool hui ho, toh bhool samajhkar bhula dena ... lekin bhulana sirf bhool ko, galati se bhi hum mein na bhula dena
Aurat maa hoti hai, bahen hoti hai, patni hoti hai, dost hoti hai ... aur jab woh kuch nahi hoti, toh tawaif hoti hai
Pani se pyaas nah bhuji toh maikhane ki taraf chal nikla ... soocha shikayat karoon teri khuda se ... par khuda bhi tera aashiq nikla
Green hai angoor, kele ka rang peela hai ... kehdo saari duniya se, Ram ki Leela hai
Badi muddat se mere dil mein ek tasveer behti hai ... teri zulfon ke chao mein meri taqdeer behti hai
Dil ke chaalon ko koi shayari kahe toh parwah nahi ... takleef toh tab hoti hai jab koi wah wah wah karta hai
Na talwaar ki dhaar se, na goliyon ki bauchaar se ... banda darta hai toh, sirf parvar digaar se
Bhare saawan mein reghistaan lagta hai ... yeh ghar mera khali makaan lagta hai
Kehte hai pyar mein neend udh jaati hai ... koi humse bhi mohabbat kare ... kambhakt neend bahut aati hai
Chehre pe itna noor tumhare, aankhon mein itna pyar ... aaisa laga milkar jaise, aaj mile hai hum pehli baar
Knife pe gire apple, apple pe gire knife ... saala phone nahi utha raha hai, call kar rahi hai wife
Tum doodh mangoge hum kheer denge ... tum Kashmir mangoge hum cheer denge
Husn ko chaand, jawani ko kamal kehte hai ... dekh kar hum tujhe ek shouk ghazal kehte hai ... uff yeh sang-e-marmar sa tarasha hua shafaf badan ... dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hai
Khushiyan kisi ki mohtaj nahin hoti, dosti yunhi ittefaq se nahin hoti ... kuch toh maine honge is pal ke, warna yunhi aapse mulaqat nahin hoti

So, this is my little collection of all type shayaries dialogues which was taken from indian bollywood hindi movies .

0 comments:

Post a Comment